Bund Bund pani
By Ankushree
125.00
| SKU Code | Book230878C |
| ISBN | 9789364260527 |
| Pages | 54 |
| Language | Hindi |
| Genre | Fiction |
| Book Size | 5*8 |
Synopsis
Bahumukhi pratibha ke dhani Ankushree ko saarathak kahani likhne ki pratibaddhta ke liye jaana jaata hai. Inka sahityik jeevan saade paanch dashakon mein phaila hua hai. Inhone har aayuvarg ke paathakon ke liye vibhinn vidhayon mein vyaapak roop se sahitya-srajan kiya hai.
Prakriti aur paryavaran vishayak baal sahitya likhne mein inhe maharat haasil hai. Inhone apni rachnaon ke maadhyam se baal paathakon ka manoranjan to kiya hi hai, saath hi unhe shikshit aur prerit bhi kiya hai.
Ankushree ki rachnayein desh bhar ki sarkaari-ghar sarkaari patr-patrikaon mein niyamit roop se chhapti rahi hain. Inki chhah baal pustakon sahit solah pustakein prakashit hain. Inka ek baal upanyaas Bharat Sarkar ke Prakashan Vibhag ke prakashanadhin hai.
Ankushree ki ek baalakatha 'Ekta' Jharkhand sarkar ke vidyalayon mein paanchvi kaksha mein padhaayi jaati hai. Inki ek pustak 'Hamesha hai Paryavaran' Chhattisgarh ke vidyalayon mein padhaayi jaati hai.
Kareeb paanch darjan sankalnon mein inki rachnayein sankalit hain. Inhone anek pustakon ka sampadan kiya hai aur anek abhinandan granthon ka sampadan mein sahyog kiya hai. Inhe darjon samman aur maanad upadhiyan praapt hain.
Ankushree ki rachnaon mein prakritik saundarya, paryavaran sanrakshan aur sanskritik chetna ki pratibaddhta dikhayi deti hai. Inka lekhan har peedhi ke paathakon ko apni aur khinchta hai aur unhe baudhik roop se sinchta hai.

Reader Reviews (0)
No reviews yet. Be the first to write one!
Share Your Thoughts
Your personal identity metrics remain protected inside our system parameters.