BOOKSCAMEL Premium Bookstore
Publish Now
R.K. Chandra
Featured Profile

R.K. Chandra

"Shri Rajesh Kumar Chandra ne Snatak, Snatakottar (Itihas) evam B.Ed ki degree Guru Ghasidas Vishwavidyalaya, Bilaspur se poorn ki hai tatha Shahid Nand Kumar Patel Vishwavidyalaya, Raigarh se Ganit vishay mein Snatakottar uttirn ki hai. Vartaman mein Atal Bihari Vajpayee Vishwavidyalaya, Bilaspur se Ph.D. ki upadhi hetu shodh karya kar rahe hain. Ve Chhattisgarh Lok Seva Aayog dwara chayanit hokar Shaskiya T.C.L. Snatakottar Mahavidyalaya, Janjgir mein Sahayak Pradhyapak ke pad par pichhle 9 varshon se padsth hain. Ve Mahavidyalaya mein Itihas Vibhag ke Vibhagadhyaksh ke roop mein karya kar rahe hain. Purv mein ve Chhattisgarh Lok Seva Aayog dwara chayanit hokar Bal Vikas Pariyojana Adhikari evam Sahayak Sanchalak, Samaj Kalyan ke pad par bhi karya kar chuke hain. Bharatiya Sanskriti evam Swatantrata Andolan ke Itihas mein inki vishesh ruchi hai aur ve chhatron ko vibhinn pratiyogi parikshaon ki taiyari mein apna mahatvapurn yogdan pradan kar rahe hain.

Main Mahendra Kumar, Shaskiya T.C.L. Snatakottar Mahavidyalaya mein shikshak ke roop mein 2021 se karyarat hoon. Maine B.Sc. tatha M.Sc. ki degree Bilaspur Vishwavidyalaya (purv mein), ab Atal Bihari Vajpayee Vishwavidyalaya se poori ki hai. Main vidyarthiyon ke liye vishayvastu ko saral, spasht evam vyavasthit roop mein prastut karne mein vishesh ruchi rakhta hoon. Bharatiya Itihas, Sanskriti evam Gyan-Parampara ke adhyayan aur adhyapan mein meri vishesh ruchi hai.

Shikshan ke dauran prapt anubhavon aur vidyarthiyon ki shaikshanik aavashyaktaon ko dhyan mein rakhte hue maine vishayon ko sahaj bhasha mein prastut karne ka prayas kiya hai. ""Prachin Bharat ka Itihas (Arambh Se Satavahan Vansh Tak)"" ke madhyam se maine Prachin Bharatiya Itihas ki pramukh ghatnaon, sabhyataon, samajik evam rajnaitik vikas tatha dharmik-sanskritik paramparaon ko kramabaddh roop mein prastut karne mein yogdan diya hai. Mera lekhan vidyarthiyon ko vishay ki mool avdharnaon ko samajhne, aitihasik ghatnaon ko kramabaddh roop se jaanne tatha Bharatiya Itihas ke vyaapak swaroop ko samajhne mein sahayata karne ke uddeshya se kendrit hai."

Debut Work: "Prachin Bharat Ka Itihas: Arambh Se Satavahan Vansh Tak"

Published Collection

1 Book Total
Prachin Bharat Ka Itihas