Featured Profile
Om Prakash 'Suman'
"Omprakash ‘Samun’ Hindi sahitya ke kavi, lekhak va patrakar ke roop mein kshetra mein prasiddh praapt kar chuke hain. Unka janm sthal Uttar Pradesh ke Lakhimpur Kheri zila ki tehsil Mohammadi ki gram panchayat Dilawarpur ka majra Shivnagara hai
Omprakash ‘Samun’ ka janm 01 January 1945 ko ek Brahman parivar mein hua tha. Inke pitaji ka naam Shri Shiv Sahay aur mataji ka naam Shrimati Shivvati Devi tha
Inke pitaji kaafi shikshit hone ke bavjood bhi gaon mein hi krishi karya karte the, kyunki vah akele the aur poore parivar ka bharan-poshan karte the
Mata Shrimati Shivvati Devi ek saamaanya grihini thi"