Loading
Bookscamel is a leading company among book publishers in India. With over 8 years of experience in the publishing industry, we understand the needs of readers. Our publishing platform gives authors an opportunity to reach millions of readers. We are one of the most trusted book publishers in India and have a reputed presence in the nation in terms of quality printing and publishing support. Connect with our publishing consultants to know more about publishing opportunities at Bookscamel.
"Dard ek gehra aur jatil anubhav hai jo vyakti ki zindagi ko vyaapak roop se prabhavit karta hai. Yeh sharirik ya maansik ho sakta hai, aur dono hi sthitiyon mein iske prabhav gehre aur bahustariy hote hain. Dard ko shabdon mein vyakt karna aksar kathin hota hai, kyunki yeh ek atyadhik vyaktigat aur aatmagat anubhav hai, jo har kisi ke liye anokha aur alag hota hai. Dard ko doosron ke saath baantna bhi kathin hai, kyunki yeh ek vyaktigat anubhav hai. Dard ka koi saathi nahi hota — ise khud hi sehna padta hai aur samajhna padta hai, chahe vyakti gareeb ho ya ameer. Dard humari zindagi ki saari khushiyan chheen leta hai, aur ise sahna bahut mushkil hota hai. Iske viruddh kisi tarah ki kanooni karwai bhi nahi ki ja sakti. Dard ek aisa anubhav hai jo har kisi ke liye alag hota hai, aur ise samajhne aur sahne ke liye humein swayam hi prayaas karna padta hai. Ek din maine apne mann mein pran liya ki main apne dard ko, apni peeda ko baantunga. Maine socha ki main ise sirf ek vyakti ke saath nahi, balki anek logon ke saath saanjha karunga — apno ke beech aur doosron ke beech bhi ise vyakt karunga. Is sandarbh mein, CMC Vellore ke Hematology Vibhag ke Dr. Uday Prakash Kulkarni ki salah ne mujhe ek naya drishtikon diya. Unhone kaha, 'Aap doosron ki zindagi ke sukh-dukh, hriday-vighat, prem-gharuna ke sandarbh mein likhte hain. Is baar apne baare mein likhiye. Apne mann ke ahsaason ko shabdon mein vyakt kijiye. Isse aapke apne dard bhi kam honge, aur is mann ke mareez bhi labhavanvit honge.' Unki baat sun kar mujhe laga ki shaayad yeh sahi tareeka ho sakta hai apne dard ko kam karne ka. Maine likhna shuru kiya aur apne anubhavon ko shabdon mein piroya. Isse maine apne dard ko thoda kam mehsoos kiya, aur laga ki main apne anubhav doosron ke saath baantkar unhe bhi labh pahucha sakta hoon. Dr. Kulkarni ki baat bilkul sahi thi — ki apne mann ki sabse acchi aushadhi to Parmatma ne humein de rakhi hai: likhna aur apne anubhavon ko saanjha karna. Isse na keval hamare dard kam hote hain, balki hum doosron ki bhi madad kar sakte hain. Shrimad Bhagavad Gita ka ek kathana hai: 'Jab kabhi kisi samasya ka janm hota hai, to uske saath samaadhaan ka bhi janm hota hai.' Is vichar ne bhi mujhe aatmabal pradaan kiya. Mujhe swasth rehna tha, ghoont-ghar ke jeena nahi tha. Maine socha ki mujhe haasti-muskurati zindagi jeeni hai aur apni asadhya bimari par vijay paani hai." Is pustak ko likhne ke dauraan maine Giridih aur Vellore mein rahte hue kai anubhavon ko shabdon mein vyakt kiya hai. Prastut pustak ka uddeshya keval apne anubhavon ko saanjha karna hi nahi, balki doosron ko bhi prerit karna hai. Mujhe aasha hai ki yeh pustak paathakon ke liye ek prerna ka strot banegi aur unhe apne jeevan mein sakaratmak badlaav laane mein madad karegi. Agar is pustak se paathakon ko thodi si bhi prasannata milti hai, to main samjhoonga ki mera shrama safal ho gaya hai."
Books
Sales