B O O K S C A M E L

Loading

Bookscamel is a leading company among book publishers in India. With over 8 years of experience in the publishing industry, we understand the needs of readers. Our publishing platform gives authors an opportunity to reach millions of readers. We are one of the most trusted book publishers in India and have a reputed presence in the nation in terms of quality printing and publishing support. Connect with our publishing consultants to know more about publishing opportunities at Bookscamel.

Satya Deo Pathak

Satya Deo Pathak

Unknown Location

Satya Dev Pathak, jinhe kavita aur sahitya ki duniya mein "Kavi Pathak" ke naam se jaana jaata hai, Bharat ke Uttar Pradesh ke zila Lucknow ke nivasi hain. Wah mool roop se ek Electronic evam Doorsanchar Engineer hain. Sangh Lok Seva Aayog ke madhyam se Engineering Services Examination mein chayanit hone ke baad, Bhartiya Railway mein karya rat hain. Poorvottar Railway mein kaam karte hue unhone gaane, script aur kavitaayen likhna shuru kiya. Wah ek sahaj aur rachnatmak kavi hain jo kisi bhi vishay par kuch hi minuto mein likh sakte hain. Apne vibhag mein apni lekhni pratibha ki sarahna prapt karne ke baad, woh kitaben likhne ke liye prerit hue. Unki 108 bhajanon ki pehli pustak, jo Bhagwan Ram ke jeevan prasangon par aadharit bhajan sangrah hai, July 2024 mein "Aa Gaye Mere Ram" ke title se prakashit hui. November 2024 mein unke 101 preranaadayak kavitaon ka sangrah "Main Hoon Pathak" prakashit hua. Inquilaab Publication dwara prakashit saanjha kavya sangrah "Raghunandan" mein bhi unki rachna shamil hai. Unki kavitaayen Hindi daily "Amar Ujala" ke e-paper sanskaran mein niyamit roop se prakashit hoti rehti hain. Unhone apni naukri ke dauraan 2023 mein MBA (Master of Business Administration) bhi kiya hai. Unhe sahityik aur pratiyogitaatmak gatividhiyon mein gahri ruchi hai. Unhone July 2024 mein S7 Kavita Pratiyogita mein 20vi rank haasil ki hai. Unki ek rachna "Tha Wo Bachpan" ne Wingword Sanstha dwara aayojit pratiyogita mein kshetriya bhasha varg mein tritiya sthan prapt kiya. Wah lagataar nayi kitabon par kaam kar rahe hain jo jald hi bazar mein uplabdh hongi. Wah sabhi prakaar ki kavita aur rachna mein visheshagya hain, lekin prerak, jeevan sambandhi aur aadhyatmik kshetra unke pasandida hain. Unhone naari jeevan aur bachpan ke baare mein bhi kai kavitaayen likhi hain.

1+

Books

0+

Sales

Books By Satya Deo Pathak